Age: 44
6568 days old here
Total Posts: 15020
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
sun_shine said:
Rehan M Din said:
parents kay khali theek hona kaafi nahi hota... thori si sakhti aur thora sa pyar balance kar kay chalana parta hai... sab sai important cheez yeh hai keh bachon ko kisi ghalti per parents ki support milay to woh chez ahista ahista us ki life ka hisa banti jati hai... aur isi sai bigar aata hai...
Assalam O Alaikum
*yaa Right pyaar,mohabbat aur strickness main balance hona chahiye Per yeh balance kis tarah maintain kiya ja sakta hain?
be-ja farmaishain na poori ki jaen... aur agar pyar kia jae to saath danta bhi jae... zarorat parnay per saza bhi di jae... aj kal aisa culture develop kia ja raha hai keh bachon ko danta nahi jata... saza nahi di jati... yeh chezain moashray mai bighar paida karain gi... yahi bachay kal ko un ki baat nahi manain gay... achay buray ki tameez nahi karain gay to kon inhain samjha sakay ga...
kisi bazurg nay apnay betay ko apnay potay kay samnay thapar maara... beta khamoshi sai khara raha... paas kharay howay aik shaks nay kaha keh bazurgo ap nay acha nahi kia... potay kay samnay betay ko mara... us ki kya izzat reh gai... bazurgon nay kaha keh mai nay aisa is liye kia keh meray potay ko bhi pata chalay kay baap ki baat ki kya haisiat hai... woh kabhi jurat nahi karay ga baap kay saath bad-tameezi ki...